Disclaimer
1. This poem has nothing to do with my personal status ( I'm happily engaged :-) )
2. Being the first time i didn't bother much about hindi/urdu consistency. Purists may forgive me.
3. Constructive criticism is very much invited (including "Don't bother with poetry again" !!)
Pata tha ishq main mar mit na payenge hum,
Par fir bhi aashiqui ka shauq rakhne lage
Ab woh hume chahe ya na chahe
Par ret ke gharondo main hum hi apne khwab sanjone lage
Pata tha un aankhon ka pyala nasib nahi mujhe,
Use dosh na dena duniya walon
Jab uski ek nazar ko apne hisse ka pyar maan,
Hum hi apni khushfehmi main madhosh hone lage
Sagaron ki baat kahan karte usse,
Hum to lehron se bhi anjaan chale
Jo Ret pe kured ke uska naam,
Hum bhi apna prem amar karne lage
Par thokar to lagna hi thi jo,
Ek sapne par hum apna haq samajhne lage
Jin raaston ko taakti thi nigahain humesha,
Ab to we raaste bhi hume anmane se karne lage
Par
Itna zulm seh kar bhi koi gila nahi usse,
Kyunki,
Aakhirkar hum ab,
Pyar ka matlab samajhne lage
Frst of all........Congratulations on ur frst poetic endeavor. As u said, a bit of refinement is indeed required. But still the thoughts are comendable. Hope to see another one quite soon :)
ReplyDeletegood man,
ReplyDeletetell me one thing ye engagement ke pahle likhi thi yaa baad main....
;) any how good effort....
"Did I like the Poem?"
ReplyDelete"Yes. You did."
Likhi to sagai ke baad hi hai but look at disclaimers ;-)
ReplyDeleteSamajtey the hum hi har mushaayrey ki shama,
ReplyDeleteper ab maangna chahtey hain aapse kshama,
hamare vichaar ab aap k liye badalne lage,
Arey ab to Thakur saab bhi kavita Gadne lage..
Kavita main hi to jeevan ka ras hai
ReplyDeleteVicharon par kya tumhara kya bas hai
Dil mera hi bada manchala hai, aur waise bhi
Aakhir Thakuron par kiska bas chala hai
kavita hi jeevan ki vyatha hai,
ReplyDeleteye baat hum dono ko bhi pata hai,
gyaat ho gar ki "sholay" naam ki ek chitrakala hai,
log kehte hain Thakuron per Gabbar ka bas chala hai..:P
kafi waqt baad tera blog padha..teri poetry padh kar shock laga ki ITT+IIM banda is tarah ki poetry bhi kar sakta hai..
ReplyDeletebt newys comendable job dude..
keep up gud wrk
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete