Disclaimer
1. This poem has nothing to do with my personal status ( I'm happily engaged :-) )
2. Being the first time i didn't bother much about hindi/urdu consistency. Purists may forgive me.
3. Constructive criticism is very much invited (including "Don't bother with poetry again" !!)
Pata tha ishq main mar mit na payenge hum,
Par fir bhi aashiqui ka shauq rakhne lage
Ab woh hume chahe ya na chahe
Par ret ke gharondo main hum hi apne khwab sanjone lage
Pata tha un aankhon ka pyala nasib nahi mujhe,
Use dosh na dena duniya walon
Jab uski ek nazar ko apne hisse ka pyar maan,
Hum hi apni khushfehmi main madhosh hone lage
Sagaron ki baat kahan karte usse,
Hum to lehron se bhi anjaan chale
Jo Ret pe kured ke uska naam,
Hum bhi apna prem amar karne lage
Par thokar to lagna hi thi jo,
Ek sapne par hum apna haq samajhne lage
Jin raaston ko taakti thi nigahain humesha,
Ab to we raaste bhi hume anmane se karne lage
Par
Itna zulm seh kar bhi koi gila nahi usse,
Kyunki,
Aakhirkar hum ab,
Pyar ka matlab samajhne lage